Kuch Pal Zindgi k
1:47 am 08-08-24
Aakhe bnd kru to aaj bh mje wo landlord aunty ka chehra saamne dikhta h. Diya or vijeta bhi dikhte h. Maano jse mai aaj bhi vhi pr hu. Ya maano mera punar janm hua hai or mai iss janam me bhi mje wo pichle janam ki ek ek bat yad h. Wo ek chota sa kmra jisme diya or mai sath raha krte the. Wo red carpet wla floor jo hm hmesha ganda rkhte the. Do bed, ek diya ka ek mera. Mje aaj bh wo bed sheet yaad h jo hm bichaya krte the. Ek choti si almari thi jisme mai hmesha apne kpde ache se rkha krti thi. Wo bhi mai diya k sath share krti thi. Uss kamre me chota sa washroom bh mje yad h. Bdi ajib bat h aaj bh mje wo sab ache se yd hai. Hmara subh office jana. Ek din chdke ek din duty wise khana bnana. Tiffin pack krna. Shaam hote he ghr lautna or tiffin ka intzar krna or mil k khana. Vijeta ki wo yellow tshirt or diya ki dark green tshirt jisme hmesha wo dikha krte the. Maano jse abhi ki bat ho. Thda udas hu sb yaad krke kyuki wo beet gya or kabhi vaps nh aaega pr khush bhi hu zindgi ne mje khas dosto se milwaya. Mulakat ho ya na ho tasveet dil me chapi hui h. Jb bhi delhi jana hoga vijeta se jrur milumgi or inn 4 saalo me kya kya kiya sb pucungi. Pr mza to unn dino ki bat krke he aaega. Anu ka silai krna. Apne bf k liye uska gifts bnana.. wo din bh acha tha jb sakhi or sudha aunty room pe aaye the. Mai to office thi. Unka dhyn anu ne he rkha tha. Weekend ki shaam hote he GT jana. Khub hsna or hsana. Wo galiya wo dukhane , sb chehre jse mai vhi hu. Wo mandir or mandir k bahar baithi budhi amma jo mje dekh k hmesha muskuraya krti thi. Or hmesha aashirwad deti. Wo road cross krke auto pkdna fir ridhi sidhi chok se aage jaake bus pkd k office jana.
Wo khas dost mere jo aj bh bht khas h. Komal, pushpanjli, bablesh. Khush hu itni haseen yaade h mere pas or ye kisi khazane se km nahi. Wo mai he thi. Itna samay beet gya...
Sabki shadiya ho gyi. Sb bichad gye ek dusre se. Bdi ajib bat h mummy papa bhi ajnabi bn gye. Apne bhi dur ho gye
Pr khush hu maine khul k jiya mri jindgi ko
Kahungi usko pichla janam mera. Iss jamam me sb bdla bdla sa hai. Wo log to nahi sath isliye khungi ye janam mera anjana sa hai.
Khush ho leti hu unn lamho ko yaad krke. Jaane kyu aj bh lgta hai mai vhi hu, usi jagh par.
I miss my days. Miss my people. Miss my place. Miss my younge age.
Comments
Post a Comment